mera aaghosh-e-nazar yaad aaya
mirā āġhosh-e-nazar yaad aaya
jalva-e-dost ko ghar yaad aaya
aañkh hangāma-e-mahshar meñ khulī
fitna-e-rāhguzar yaad aaya
ġhairat-e-ishq bhī hāthoñ se ga.ī
dil agar bār-e-digar yaad aaya
ab milāte nahīñ duniyā se nazar
koī gustāḳh-nazar yaad aaya
aap ke dar pe milā sar apnā
sajda yaad aaya to sar yaad aaya
hosh-e-hastī pe huā josh-e-karam
dil idhar dard udhar yaad aaya
aaj baiThe haiñ vo shamshīr-ba-kaf
kis gunahgār kā sar yaad aaya
'najm' ye fikr hai nazr-e-'ġhālib'
'ġhālib'-e-ḳhasta jigar yaad aayā
mera aaghosh-e-nazar yaad aaya
jalwa-e-dost ko ghar yaad aaya
aankh hangama-e-mahshar mein khuli
fitna-e-rahguzar yaad aaya
ghairat-e-ishq bhi hathon se gai
dil agar bar-e-digar yaad aaya
ab milate nahin duniya se nazar
koi gustaKH-nazar yaad aaya
aap ke dar pe mila sar apna
sajda yaad aaya to sar yaad aaya
hosh-e-hasti pe hua josh-e-karam
dil idhar dard udhar yaad aaya
aaj baiThe hain wo shamshir-ba-kaf
kis gunahgar ka sar yaad aaya
'najm' ye fikr hai nazr-e-'ghaalib'
'ghaalib'-e-KHasta jigar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.