mera afsana-e-hasti adhura likh diya jae
mirā afsāna-e-hastī adhūrā likh diyā jaa.e
mirī taqdīr ke ḳhāne meñ tanhā likh diyā jaa.e
hujūm-e-yās meñ jiine kā fan to mujh ko aatā hai
jo hai imroz un ko merā fardā likh diyā jaa.e
hameñ be-mehrī-e-ahbāb ne ye din dikhā.e haiñ
jo pūchhe hāl-e-dil us ko shanāsā likh diyā jaa.e
na.e māhaul meñ āsāñ nahīñ hai zindagī karnā
ise to pyaas kā ik saḳht sahrā likh diyā jaa.e
hamārā naam bhī ho zindagī par marne vāloñ meñ
hamāre sar meñ bhī jiine kā saudā likh diyā jaa.e
yahī sargoshiyāñ kartī hai aksar maslahat-bīnī
shab-e-tārīk ko bhī ab saverā likh diyā jaa.e
guzārish hai yahī 'mehdī' har ik haq-go muarriḳh se
samundar ko bhī 'asr-e-nau meñ pyāsā likh dayā jaa.e
mera afsana-e-hasti adhura likh diya jae
meri taqdir ke KHane mein tanha likh diya jae
hujum-e-yas mein jine ka fan to mujh ko aata hai
jo hai imroz un ko mera farda likh diya jae
hamein be-mehri-e-ahbab ne ye din dikhae hain
jo puchhe haal-e-dil us ko shanasa likh diya jae
nae mahaul mein aasan nahin hai zindagi karna
ise to pyas ka ek saKHt sahra likh diya jae
hamara nam bhi ho zindagi par marne walon mein
hamare sar mein bhi jine ka sauda likh diya jae
yahi sargoshiyan karti hai aksar maslahat-bini
shab-e-tarik ko bhi ab sawera likh diya jae
guzarish hai yahi 'mehdi' har ek haq-go muarriKH se
samundar ko bhi 'asr-e-nau mein pyasa likh daya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.