mera bikharna pas-e-jism-o-jaan nahin dekha
mera bikharna pas-e-jism-o-jaan nahin dekha
Saifurrahman Abbad Ghazipuri
MORE BYSaifurrahman Abbad Ghazipuri
mirā bikharnā pas-e-jism-o-jāñ nahīñ dekhā
kisī ne jalte diye kā dhuāñ nahīñ dekhā
kuchh itnā jhuk ke chale ham lihāz-e-duniyā meñ
zamīñ hī dekhī kabhī āsmāñ nahīñ dekhā
kabhī vo aañkh meñ hai to kabhī hai aañsū meñ
kahīñ bhī ham ne use be-makāñ nahīñ dekhā
dayār-e-ġhair meñ ik shaḳhs se kahā maiñ ne
na dekhā kuchh bhī jo hindostāñ nahīñ dekhā
tamāzatoñ se jise sābiqa thā ham ne use
shajar ke saa.e meñ bhī shādmāñ nahīñ dekhā
mirā hī ashk pilāte ho mujh ko mahfil meñ
tumhāre jaisā koī mezbāñ nahīñ dekhā
use ho lafz kā irfān kis tarah 'abbād'
ki jis ne lafz kā ātish-fishāñ nahīñ dekhā
mera bikharna pas-e-jism-o-jaan nahin dekha
kisi ne jalte diye ka dhuan nahin dekha
kuchh itna jhuk ke chale hum lihaz-e-duniya mein
zamin hi dekhi kabhi aasman nahin dekha
kabhi wo aankh mein hai to kabhi hai aansu mein
kahin bhi hum ne use be-makan nahin dekha
dayar-e-ghair mein ek shaKHs se kaha main ne
na dekha kuchh bhi jo hindostan nahin dekha
tamazaton se jise sabiqa tha hum ne use
shajar ke sae mein bhi shadman nahin dekha
mera hi ashk pilate ho mujh ko mahfil mein
tumhaare jaisa koi mezban nahin dekha
use ho lafz ka irfan kis tarah 'abbaad'
ki jis ne lafz ka aatish-fishan nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.