mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai
mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai
Nirmal Nadeem
MORE BYNirmal Nadeem
mirā dard-e-dil hai ravāñ-davāñ mirā zaḳhm-e-dil bhī gulāb hai
mirī ḳhushbuoñ sī hai dāstāñ ye jahān merī kitāb hai
maiñ qalam kā ek sipāhī huuñ mirī zehniyat meñ hai shā.irī
jahāñ fikr kī hai bulandiyāñ mirā harf harf vo baab hai
kabhī mere dil meñ tū dekhnā ki jahāñ tamām simaT ga.e
kare zikr jis kā har ik zabāñ mire dard kā vo shabāb hai
tujhe saath kaise maiñ le chalūñ maiñ safar pe huuñ kisī tuur ke
tire saath chaltī haiñ mastiyāñ tirī chaal mauj-e-chanāb hai
mire bāl-o-par meñ vo hausla hai jo āsmāñ ko sameT le
jo mujhe banā.egā jāvedāñ mirī chashm-e-tar meñ vo ḳhvāb hai
mujhe le ke chalnā hai le ke chal par use bhī le le tū saath meñ
mujhe kar na pā.egā tū bayāñ maiñ savāl huuñ vo javāb hai
maiñ nashe meñ tere hī chuur huuñ tire paas ho ke bhī duur huuñ
tū mire vajūd meñ hai nihāñ tirā ġham hī merī sharāb hai
ye nujūm-o-shams-o-qamar sabhī meñ jo raushnī hai mujhī se hai
mirā qarz-dār hai āsmāñ mire zaḳhmoñ hī kī vo taab hai
maiñ ne sarf kar dī hai zindagī tirī manziloñ kī talāsh meñ
tujhe DhūñDhtā na phirā kahāñ mire ishq kā tū sarāb hai
mera dard-e-dil hai rawan-dawan mera zaKHm-e-dil bhi gulab hai
meri KHushbuon si hai dastan ye jahan meri kitab hai
main qalam ka ek sipahi hun meri zehniyat mein hai shairi
jahan fikr ki hai bulandiyan mera harf harf wo bab hai
kabhi mere dil mein tu dekhna ki jahan tamam simaT gae
kare zikr jis ka har ek zaban mere dard ka wo shabab hai
tujhe sath kaise main le chalun main safar pe hun kisi tur ke
tere sath chalti hain mastiyan teri chaal mauj-e-chanab hai
mere baal-o-par mein wo hausla hai jo aasman ko sameT le
jo mujhe banaega jawedan meri chashm-e-tar mein wo KHwab hai
mujhe le ke chalna hai le ke chal par use bhi le le tu sath mein
mujhe kar na paega tu bayan main sawal hun wo jawab hai
main nashe mein tere hi chur hun tere pas ho ke bhi dur hun
tu mere wajud mein hai nihan tera gham hi meri sharab hai
ye nujum-o-shams-o-qamar sabhi mein jo raushni hai mujhi se hai
mera qarz-dar hai aasman mere zaKHmon hi ki wo tab hai
main ne sarf kar di hai zindagi teri manzilon ki talash mein
tujhe DhunDhta na phira kahan mere ishq ka tu sarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.