mera dil hai mere dil mein koi aakar nihan kyon ho
mera dil hai mere dil mein koi aakar nihan kyon ho
Sufi Zamzam Bijnori
MORE BYSufi Zamzam Bijnori
mirā dil hai mire dil meñ koī aakar nihāñ kyoñ ho
ye merī sarguzisht-e-ġham kisī kī dāstāñ kyoñ ho
kalīsā mulk-e-rāhib hai haram jāgīr mullā kī
batā zāhid tū hī phir sajda-e-mastī yahāñ kyoñ ho
kisī kī yaad se vābasta jab ye zindagī Thahrī
to phir ai chārāgar achchhā mirā dard-e-nihāñ kyoñ ho
yahī jalva to hai maqsūd merī āfrīnash kā
mohabbat merī qismat hai nasīb-e-dushmanāñ kyoñ ho
harīm-e-ḳhās tak azm-e-rasā hai bāryāb apnā
nazar merī muhīt-e-arsa-e-kaun-o-makāñ kyoñ ho
mirī har saañs hai pāband-e-taslīm-o-razā hamdam
ġharaz kyā hai ki maiñ un se kahūñ tum bad-gumāñ kyoñ ho
maiñ jab huuñ aaj sarshār-e-mai-e-jām-e-tan-āsānī
ye musht-e-ḳhāk ai 'zamzam' ham-āhang-e-fuġhāñ kyoñ ho
mera dil hai mere dil mein koi aakar nihan kyon ho
ye meri sarguzisht-e-gham kisi ki dastan kyon ho
kalisa mulk-e-rahib hai haram jagir mulla ki
bata zahid tu hi phir sajda-e-masti yahan kyon ho
kisi ki yaad se wabasta jab ye zindagi Thahri
to phir ai chaaragar achchha mera dard-e-nihan kyon ho
yahi jalwa to hai maqsud meri aafrinash ka
mohabbat meri qismat hai nasib-e-dushmanan kyon ho
harim-e-KHas tak azm-e-rasa hai baryab apna
nazar meri muhit-e-arsa-e-kaun-o-makan kyon ho
meri har sans hai paband-e-taslim-o-raza hamdam
gharaz kya hai ki main un se kahun tum bad-guman kyon ho
main jab hun aaj sarshaar-e-mai-e-jam-e-tan-asani
ye musht-e-KHak ai 'zamzam' ham-ahang-e-fughan kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.