mera diya hai muqabil charagh-e-shahi ke
mirā diyā hai muqābil charāġh-e-shāhī ke
maiñ jāntā huuñ ki āsār haiñ tabāhī ke
sazā sunā.ī ga.ī peshtar gavāhī ke
to kyā subūt karūñ pesh be-gunāhī ke
kise hai hosh ki ye jashn hai ki mātam hai
muzākarāt haiñ jalse kī sarbarāhī ke
koī to jhāñke zarā din kī āstīnoñ meñ
mileñge naag ka.ī raat kī siyāhī ke
hamāre ghar haiñ mo.attar ġhamoñ kī dhūnī se
ki in gharoñ pe haiñ asarāt ḳhānqāhī ke
mera diya hai muqabil charagh-e-shahi ke
main jaanta hun ki aasar hain tabahi ke
saza sunai gai peshtar gawahi ke
to kya subut karun pesh be-gunahi ke
kise hai hosh ki ye jashn hai ki matam hai
muzakaraat hain jalse ki sarbarahi ke
koi to jhanke zara din ki aastinon mein
milenge nag kai raat ki siyahi ke
hamare ghar hain moattar ghamon ki dhuni se
ki in gharon pe hain asaraat KHanqahi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.