mera dushman koi mere alawa ho nahin sakta
mirā dushman koī mere 'alāva ho nahīñ saktā
agar ye farz kar leñ hai to aisā ho nahīñ saktā
baḌā lashkar hai mere sāmne aur maiñ tan-e-tanhā
mire pīchhe samundar hai maiñ paspā ho nahīñ saktā
maiñ apne aap se milne chalā aatā huuñ jab chāhūñ
mirī 'ādat hī aisī hai maiñ tanhā ho nahīñ saktā
mire jaise hazāroñ hū-bahū maujūd haiñ mujh meñ
mujhe kal tak gumāñ thā koī mujh sā ho nahīñ saktā
madārī hai koī lekin nazar aatā nahīñ 'muqsit'
ki apne aap ye saarā tamāshā ho nahīñ saktā
mera dushman koi mere 'alawa ho nahin sakta
agar ye farz kar len hai to aisa ho nahin sakta
baDa lashkar hai mere samne aur main tan-e-tanha
mere pichhe samundar hai main paspa ho nahin sakta
main apne aap se milne chala aata hun jab chahun
meri 'adat hi aisi hai main tanha ho nahin sakta
mere jaise hazaron hu-bahu maujud hain mujh mein
mujhe kal tak guman tha koi mujh sa ho nahin sakta
madari hai koi lekin nazar aata nahin 'muqsit'
ki apne aap ye sara tamasha ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.