mera dusra ruKH dikha de mujhe
mirā dūsrā ruḳh dikhā de mujhe
mire sāmne se haTā de mujhe
baḌī der se qaid meñ huuñ tirī
parinda samajh kar uḌā de mujhe
maiñ us ke liye dhuup le ā.ūñgā
jo dariyā se paanī pilā de mujhe
maiñ uḌnā sikhā.ūñgā tujh ko magar
tū paanī pe chalnā sikhā de mujhe
samundar se nisbat hai mujh ko 'matīn'
vo sūraj agar hai jalā de mujhe
mera dusra ruKH dikha de mujhe
mere samne se haTa de mujhe
baDi der se qaid mein hun teri
parinda samajh kar uDa de mujhe
main us ke liye dhup le aaunga
jo dariya se pani pila de mujhe
main uDna sikhaunga tujh ko magar
tu pani pe chalna sikha de mujhe
samundar se nisbat hai mujh ko 'matin'
wo suraj agar hai jala de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.