mera haal mujhse na puchhiye ki main gham se sina-figar hun
mera haal mujhse na puchhiye ki main gham se sina-figar hun
Nazish Sahsarami
MORE BYNazish Sahsarami
mirā haal mujh se na pūchhiye ki maiñ ġham se sīna-figār huuñ
jise āsmāñ ne jalā diyā usī kārvāñ kā ġhubār huuñ
jahāñ jal rahā thā kabhī diyā jahāñ sadqe hotī thī kahkashāñ
jise koī dekh ke ro paḌe maiñ vahī to sang-e-mazār huuñ
ye bahār aur ye gulsitāñ mirī tishnagī ke harīf haiñ
mujhe bijliyoñ kī talāsh hai ki maiñ dil-jaloñ kī pukār huuñ
yahī raas aa.ī hai dostī ki fasāna ban ga.ī zindagī
tire ek ġham kā sila hai ye ki hazār ġham se do-chār huuñ
mirī qabr un kī galī meñ ho mirā muñh nahīñ hai ye dosto
kahīñ Daal do mirī laash ko ki maiñ nang-e-kūcha-e-yār huuñ
maiñ falak kī aañkh kā nuur huuñ maiñ kisī kā husn-e-ġhurūr huuñ
maiñ fareb-e-ishq kī aabrū maiñ mohabbatoñ kā qarār huuñ
mirī TuuTī aas bañdhā.e kaun mirā dard pūchhne aa.e kaun
jise tū ne dar se uThā diyā maiñ vahī to 'nāzish'-e-zār huuñ
mera haal mujh se na puchhiye ki main gham se sina-figar hun
jise aasman ne jala diya usi karwan ka ghubar hun
jahan jal raha tha kabhi diya jahan sadqe hoti thi kahkashan
jise koi dekh ke ro paDe main wahi to sang-e-mazar hun
ye bahaar aur ye gulsitan meri tishnagi ke harif hain
mujhe bijliyon ki talash hai ki main dil-jalon ki pukar hun
yahi ras aai hai dosti ki fasana ban gai zindagi
tere ek gham ka sila hai ye ki hazar gham se do-chaar hun
meri qabr un ki gali mein ho mera munh nahin hai ye dosto
kahin Dal do meri lash ko ki main nang-e-kucha-e-yar hun
main falak ki aankh ka nur hun main kisi ka husn-e-ghurur hun
main fareb-e-ishq ki aabru main mohabbaton ka qarar hun
meri TuTi aas bandhae kaun mera dard puchhne aae kaun
jise tu ne dar se uTha diya main wahi to 'nazish'-e-zar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.