mera harif koi hai kahan akela hun
mirā harīf koī hai kahāñ akelā huuñ
harīs-e-lazzat-e-lafz-o-bayāñ akelā huuñ
hisār-e-jism se bāhar hai kaun mere sivā
sañbhāle hāthoñ pe maiñ naqd-e-jāñ akelā huuñ
maiñ ek sang-e-hidāyat khaḌā huuñ sadiyoñ se
ye ġham nahīñ ki pas-e-kārvāñ akelā huuñ
tamām log to behis haiñ sang kī sūrat
maiñ apne ahd kā ik nauha-ḳhvāñ akelā huuñ
sab apne chehre pe tanqīd ḳhud hī karte haiñ
maiñ aa.ine kī tarah be-zabāñ akelā huuñ
na ab vo bazm-e-samā.at na ab vo mahfil-e-shab
sunā huā suḳhan-e-rā.egāñ akelā huuñ
bahut hai mere liye yād-e-raftagāñ 'anvar'
akelā hote hue bhī kahāñ akelā huuñ
mera harif koi hai kahan akela hun
haris-e-lazzat-e-lafz-o-bayan akela hun
hisar-e-jism se bahar hai kaun mere siwa
sanbhaale hathon pe main naqd-e-jaan akela hun
main ek sang-e-hidayat khaDa hun sadiyon se
ye gham nahin ki pas-e-karwan akela hun
tamam log to behis hain sang ki surat
main apne ahd ka ek nauha-KHwan akela hun
sab apne chehre pe tanqid KHud hi karte hain
main aaine ki tarah be-zaban akela hun
na ab wo bazm-e-samaat na ab wo mahfil-e-shab
suna hua suKHan-e-raegan akela hun
bahut hai mere liye yaad-e-raftagan 'anwar'
akela hote hue bhi kahan akela hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.