mera hi naqsh-e-kaf-e-pa dikhai deta hai
mirā hī naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī detā hai
tire nagar kā ye rasta dikhā.ī detā hai
mire qarīb se guzrī hai bārhā duniyā
bahut udaas hai aisā dikhā.ī detā hai
vo tishna-lab huuñ ki jis ko hai justujū-e-sarāb
mirī talāsh meñ dariyā dikhā.ī detā hai
nigal liyā hai mujhe vaqt ke taqāzoñ ne
mirā vajūd to parda dikhā.ī detā hai
yahāñ sunā hai samandar thā kuchh dinoñ pahle
ab ek ḳhaak kā sahrā dikhā.ī detā hai
diye haiñ zaḳhm zamāne ne saiñkaḌoñ 'sīrat'
diyā jo us ne vo tanhā dikhā.ī detā hai
mera hi naqsh-e-kaf-e-pa dikhai deta hai
tere nagar ka ye rasta dikhai deta hai
mere qarib se guzri hai barha duniya
bahut udas hai aisa dikhai deta hai
wo tishna-lab hun ki jis ko hai justuju-e-sarab
meri talash mein dariya dikhai deta hai
nigal liya hai mujhe waqt ke taqazon ne
mera wajud to parda dikhai deta hai
yahan suna hai samandar tha kuchh dinon pahle
ab ek KHak ka sahra dikhai deta hai
diye hain zaKHm zamane ne sainkaDon 'sirat'
diya jo us ne wo tanha dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.