mera husn-e-takallum mere andaz-e-bayan tak hai
mera husn-e-takallum mere andaz-e-bayan tak hai
Sultan Shakir Hashmi
MORE BYSultan Shakir Hashmi
mirā husn-e-takallum mere andāz-e-bayāñ tak hai
tumhārī dāstāñ kā rang merī dāstāñ tak hai
haqīqat kī nigāhoñ se jo dekheñ dekhne vaale
to har aañsū baġhair alfāz kī ek dāstāñ tak hai
phir us ke baa'd maiñ ḳhud maut ko āvāz de lūñgā
mujhe jiine kī hasrat bas tumhāre āstāñ tak hai
mohabbat ne vo dāman de diyā hai mere hāthoñ meñ
ki vus.at jis ke andar vus.at-e-kaun-o-makāñ tak hai
zamīñ se āsmāñ tak hai rasā.ī merī aahoñ kī
abhī to har shikāyat bāġhbāñ kī bāġhbāñ tak hai
mirī jānib se jā kar aap us maġhrūr se kah deñ
tirī manzil zamīñ tak merī manzil āsmāñ tak hai
mirī mashq-e-suḳhan jaadū samo detī hai sheroñ meñ
ġhazal kī shaan ai 'shākir' mire husn-e-bayāñ tak hai
mera husn-e-takallum mere andaz-e-bayan tak hai
tumhaari dastan ka rang meri dastan tak hai
haqiqat ki nigahon se jo dekhen dekhne wale
to har aansu baghair alfaz ki ek dastan tak hai
phir us ke ba'd main KHud maut ko aawaz de lunga
mujhe jine ki hasrat bas tumhaare aastan tak hai
mohabbat ne wo daman de diya hai mere hathon mein
ki wusat jis ke andar wusat-e-kaun-o-makan tak hai
zamin se aasman tak hai rasai meri aahon ki
abhi to har shikayat baghban ki baghban tak hai
meri jaanib se ja kar aap us maghrur se kah den
teri manzil zamin tak meri manzil aasman tak hai
meri mashq-e-suKHan jadu samo deti hai sheron mein
ghazal ki shan ai 'shakir' mere husn-e-bayan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.