mera jiwan hai KHud meri kahani se bhi aage ka
mirā jīvan hai ḳhud merī kahānī se bhī aage kā
fasāna huuñ hayāt-e-jāvedānī se bhī aage kā
zamīñ kī qaid se ab tak rihā.ī mil nahīñ paa.ī
safar rakkhā hai saqf-e-āsmānī se bhī aage kā
na jaane kyā huā ki phir koī basne nahīñ paayā
ye dil hai ik makāñ terī nishānī se bhī aage kā
kisī kī maut bhī matrūk kar saktī nahīñ is ko
mohabbat silsila hai zindagānī se bhī aage kā
ḳhamoshī kī zabāñ kā tarjuma bhī ho rahā hotā
agar iblāġh hotā tarjumānī se bhī aage kā
bahut se qarz haiñ andoh-e-insānī ke bhī tum par
kabhī sochā karo soz-e-nihānī se bhī aage kā
tumhārī call aatī hai to sab kuchh bhuul jaatā huuñ
nasha rahtā hai shām-e-arġhavānī se bhī aage kā
paroñ meñ bāñdh rakkhī hai masāfat ḳhud ko paane kī
irāda hai falak kī mehmānī se bhī aage kā
'zafar' hadd-e-nazar tak kī basārat kā fusūñ toḌo
tumheñ to sochnā hai lā-makānī se bhī aage kā
mera jiwan hai KHud meri kahani se bhi aage ka
fasana hun hayat-e-jawedani se bhi aage ka
zamin ki qaid se ab tak rihai mil nahin pai
safar rakkha hai saqf-e-asmani se bhi aage ka
na jaane kya hua ki phir koi basne nahin paya
ye dil hai ek makan teri nishani se bhi aage ka
kisi ki maut bhi matruk kar sakti nahin is ko
mohabbat silsila hai zindagani se bhi aage ka
KHamoshi ki zaban ka tarjuma bhi ho raha hota
agar iblagh hota tarjumani se bhi aage ka
bahut se qarz hain andoh-e-insani ke bhi tum par
kabhi socha karo soz-e-nihani se bhi aage ka
tumhaari call aati hai to sab kuchh bhul jata hun
nasha rahta hai sham-e-arghawani se bhi aage ka
paron mein bandh rakkhi hai masafat KHud ko pane ki
irada hai falak ki mehmani se bhi aage ka
'zafar' hadd-e-nazar tak ki basarat ka fusun toDo
tumhein to sochna hai la-makani se bhi aage ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.