mera KHayal bhi uski hi dastaras mein hai
mirā ḳhayāl bhī us kī hī dastaras meñ hai
ye zindagī bhī kahāñ yaar apne bas meñ hai
sukūn-e-qalb kahāñ se use mayassar ho
jo shaḳhs har ghaḌī Duubā huā havas meñ hai
maiñ bachnā chāhūñ to us se to bach nahīñ saktā
vo mere ḳhuun meñ shāmil hai merī nas meñ hai
kisī bhī vaqt maiñ vo lamha aa.egā ik din
vo pal jo āḳhirī har roz har baras meñ hai
na karnā ab mujhe āzād phir tū ai sayyād
sukūn-e-qalb 'hunar' ko bahut qafas meñ hai
mera KHayal bhi us ki hi dastaras mein hai
ye zindagi bhi kahan yar apne bas mein hai
sukun-e-qalb kahan se use mayassar ho
jo shaKHs har ghaDi Duba hua hawas mein hai
main bachna chahun to us se to bach nahin sakta
wo mere KHun mein shamil hai meri nas mein hai
kisi bhi waqt main wo lamha aaega ek din
wo pal jo aaKHiri har roz har baras mein hai
na karna ab mujhe aazad phir tu ai sayyaad
sukun-e-qalb 'hunar' ko bahut qafas mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.