mera kya hai meri har chiz to mangi hui hai
mirā kyā hai mirī har chiiz to māñgī huī hai
ye 'izzat tak mire kuchh dostoñ kī dī huī hai
dhuāñ uThne na lag jaa.e charāġh-e-dil bujhā do
fazā-e-dīda-o-dil par namī Thahrī huī hai
añdheroñ kī nigahbānī meñ haiñ saare ujāle
fasīl-e-shahr par jo raushnī bikhrī huī hai
na jaane kaun thā jo raat bhar royā lipaT kar
udāsī ab bhī is dīvār se lipTī huī hai
ye duniyā yuuñ mujhe rote hue miltī hai aksar
ki jaise ye bhī apne yaar se bichhḌī huī hai
sukūñ se jazb kar lo regzāroñ kī ḳhamoshī
havā-e-dasht bas kuchh der ko Thahrī huī hai
ijāzat kis liye ai maut luuñ tere liye maiñ
mire kis faisle par zindagī raazī huī hai
ye vīrāna mirā hai aur baaqī sab hai us kā
ye duniyā us ne shart-e-'ishq par bāñTī huī hai
nikalnā ho tujhe ai ruuh to jaldī nikal jā
ki mere jism kī bastī abhī soī huī hai
tire andar judā ho kuchh to mujh ko vo dikhā tū
ye jo bāhar kī duniyā hai mirī dekhī huī hai
mera kya hai meri har chiz to mangi hui hai
ye 'izzat tak mere kuchh doston ki di hui hai
dhuan uThne na lag jae charagh-e-dil bujha do
faza-e-dida-o-dil par nami Thahri hui hai
andheron ki nigahbani mein hain sare ujale
fasil-e-shahr par jo raushni bikhri hui hai
na jaane kaun tha jo raat bhar roya lipaT kar
udasi ab bhi is diwar se lipTi hui hai
ye duniya yun mujhe rote hue milti hai aksar
ki jaise ye bhi apne yar se bichhDi hui hai
sukun se jazb kar lo regzaron ki KHamoshi
hawa-e-dasht bas kuchh der ko Thahri hui hai
ijazat kis liye ai maut lun tere liye main
mere kis faisle par zindagi raazi hui hai
ye virana mera hai aur baqi sab hai us ka
ye duniya us ne shart-e-'ishq par banTi hui hai
nikalna ho tujhe ai ruh to jaldi nikal ja
ki mere jism ki basti abhi soi hui hai
tere andar juda ho kuchh to mujh ko wo dikha tu
ye jo bahar ki duniya hai meri dekhi hui hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 111)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.