mera lahja churana maut ka saman kar lena
mirā lahja churānā maut kā sāmān kar lenā
yahī zād-e-safar hai to safar āsān kar lenā
talab ke jaal meñ uljhā huā dil kab samajhtā hai
na.ī dozaḳh ugānā chhāñv kā armān kar lenā
bharosa eḌiyāñ ragḌe na koī aas dam toḌe
vafā kā naam bhī lenā to duniyā chhān kar lenā
zamāna be-gharī ke naam par dushnām likhtā hai
havā ke dastaḳhat bhī ab to ḳhema taan kar lenā
kahīñ resham kī Dorī maut kā phandā na ban jaa.e
duā bhī āj-kal baabā nazar pahchān kar lenā
nazar kahtī rahī gulshan bhī ab dastār-dushman hai
ḳhabar bantā rahā nuqsān par nuqsān kar lenā
nayā lahja nayā chehra nayā fashion nahīñ hotā
mukhauTā pheñknā ḳhud par baḌā ehsān kar lenā
mera lahja churana maut ka saman kar lena
yahi zad-e-safar hai to safar aasan kar lena
talab ke jal mein uljha hua dil kab samajhta hai
nai dozaKH ugana chhanw ka arman kar lena
bharosa eDiyan ragDe na koi aas dam toDe
wafa ka nam bhi lena to duniya chhan kar lena
zamana be-ghari ke nam par dushnam likhta hai
hawa ke dastaKHat bhi ab to KHema tan kar lena
kahin resham ki Dori maut ka phanda na ban jae
dua bhi aaj-kal baba nazar pahchan kar lena
nazar kahti rahi gulshan bhi ab dastar-dushman hai
KHabar banta raha nuqsan par nuqsan kar lena
naya lahja naya chehra naya fashion nahin hota
mukhauTa phenkna KHud par baDa ehsan kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.