mera nam qais kyun kar tere nam tak na pahunche
mirā naam qais kyuuñ kar tire naam tak na pahuñche
ba-ḳhudā vo muqtadī kyā jo imaam tak na pahuñche
vo hayāt-e-ārzī kyā jo davām tak na pahuñche
vo usūl-e-zindagī kyā jo nizām tak na pahuñche
jo mujhe zalīl kah kar mujhe pūchhte ho sab se
mirī zaat tak to pahuñche mire naam tak na pahuñche
ye kisī kā mujh se kahnā kare ḳhalq jis se rusvā
koī aisī baat dekho mire naam tak na pahuñche
tire ishq meñ hamesha milīñ pechdār rāheñ
kabhī ham bhaTak bhaTak kar rah-e-ām tak na pahuñche
mera nam qais kyun kar tere nam tak na pahunche
ba-KHuda wo muqtadi kya jo imam tak na pahunche
wo hayat-e-arzi kya jo dawam tak na pahunche
wo usul-e-zindagi kya jo nizam tak na pahunche
jo mujhe zalil kah kar mujhe puchhte ho sab se
meri zat tak to pahunche mere nam tak na pahunche
ye kisi ka mujh se kahna kare KHalq jis se ruswa
koi aisi baat dekho mere nam tak na pahunche
tere ishq mein hamesha milin pechdar rahen
kabhi hum bhaTak bhaTak kar rah-e-am tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.