mera panw zer-e-zamin hai pas-e-asman mera hath hai
mirā paañv zer-e-zamīn hai pas-e-āsmāñ mirā haath hai
kahīñ beach meñ mirā jism hai kahīñ darmiyāñ mirā haath hai
ye nujūm haiñ mirī uñgliyāñ ye ufuq haiñ merī hatheliyāñ
mirī por por hai raushnī kaf-e-kahkashāñ mirā haath hai
mire jabr meñ haiñ latāfateñ mirī qadr meñ haiñ kasāfateñ
kabhī ḳhāliq-e-shab-e-tār hai kabhī zau-fishāñ mirā haath hai
kisī bahr-e-ḳhvāb kī sat.h par mujhe tairnā hai tamām shab
mirī aañkh kashtī-e-jism hai mirā bādbāñ mirā haath hai
abhī harf lams-e-visāl ke kisī mantaqe pe rukā nahīñ
abhī guñg merā vajūd hai abhī be-zabāñ mirā haath hai
mera panw zer-e-zamin hai pas-e-asman mera hath hai
kahin beach mein mera jism hai kahin darmiyan mera hath hai
ye nujum hain meri ungliyan ye ufuq hain meri hatheliyan
meri por por hai raushni kaf-e-kahkashan mera hath hai
mere jabr mein hain latafaten meri qadr mein hain kasafaten
kabhi KHaliq-e-shab-e-tar hai kabhi zau-fishan mera hath hai
kisi bahr-e-KHwab ki sath par mujhe tairna hai tamam shab
meri aankh kashti-e-jism hai mera baadban mera hath hai
abhi harf lams-e-visal ke kisi mantaqe pe ruka nahin
abhi gung mera wajud hai abhi be-zaban mera hath hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.