mera shauq-e-numu tak ja raha hai
mirā shauq-e-numū tak jā rahā hai
ye dariyā aabjū tak jā rahā hai
na jaane kyā lagā hai haath us ke
sag-e-āvāra bū tak jā rahā hai
ye mausam raakh kar Dālegā ham ko
hamārā saañs lū tak jā rahā hai
tum apne pāniyoñ ko ro rahe ho
ham aisoñ kā lahū tak jā rahā hai
vo dil ke baaġh se uTThā hai aise
guloñ se rang-o-bū tak jā rahā hai
mera shauq-e-numu tak ja raha hai
ye dariya aabju tak ja raha hai
na jaane kya laga hai hath us ke
sag-e-awara bu tak ja raha hai
ye mausam rakh kar Dalega hum ko
hamara sans lu tak ja raha hai
tum apne paniyon ko ro rahe ho
hum aison ka lahu tak ja raha hai
wo dil ke bagh se uTTha hai aise
gulon se rang-o-bu tak ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.