mera shikwa har ek sohbat mein subh-o-sham karte hain
mera shikwa har ek sohbat mein subh-o-sham karte hain
Sahir Siyalkoti
MORE BYSahir Siyalkoti
mirā shikva har ik sohbat meñ sub.h-o-shām karte haiñ
ḳhudā jaane mujhe itnā vo kyoñ badnām karte haiñ
gila un kī jafāoñ kā jo sub.h-o-shām karte haiñ
tirā shikva bhī vo ai gardish-e-ayyām karte haiñ
sahar hote hī ham yakjā subū-o-jām karte haiñ
savere hī se dūr-andesh fikr-e-shām karte haiñ
mohabbat mahz rusvā.ī hai ai dil soch le is ko
baḌī mushkil se paidā log apnā naam karte haiñ
kisī se ham-suḳhan hotā nahīñ mahfil meñ parvāna
unheñ bāteñ nahīñ ātīñ jo apnā kaam karte haiñ
hamīñ ko kyoñ banāyā taḳhta-e-mashq-e-sitam tum ne
tumhāre ishq kā da.avā to ḳhās-o-ām karte haiñ
baḌe nādān haiñ jin ko hai ummīd-e-karam tujh se
jo aaqil haiñ vo kab aisā ḳhayāl-e-ḳhām karte haiñ
rahī umr-e-ravāñ garm-e-safar shab ko bhī ai 'sāhir'
jinheñ hai fikr manzil kī vo kab ārām karte haiñ
mera shikwa har ek sohbat mein subh-o-sham karte hain
KHuda jaane mujhe itna wo kyon badnam karte hain
gila un ki jafaon ka jo subh-o-sham karte hain
tera shikwa bhi wo ai gardish-e-ayyam karte hain
sahar hote hi hum yakja subu-o-jam karte hain
sawere hi se dur-andesh fikr-e-sham karte hain
mohabbat mahz ruswai hai ai dil soch le is ko
baDi mushkil se paida log apna nam karte hain
kisi se ham-suKHan hota nahin mahfil mein parwana
unhen baaten nahin aatin jo apna kaam karte hain
hamin ko kyon banaya taKHta-e-mashq-e-sitam tum ne
tumhaare ishq ka dawa to KHas-o-am karte hain
baDe nadan hain jin ko hai ummid-e-karam tujh se
jo aaqil hain wo kab aisa KHayal-e-KHam karte hain
rahi umr-e-rawan garm-e-safar shab ko bhi ai 'sahir'
jinhen hai fikr manzil ki wo kab aaram karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.