mera tarz-e-bayan-e-shauq bebakana hota hai
mirā tarz-e-bayān-e-shauq bebākāna hotā hai
amal jo rind se hotā hai vo rindāna hotā hai
mirī rūdād meñ muzmar hai hāl-e-zindagī terā
bayān-e-ishq goyā husn kā afsāna hotā hai
nahīñ miltī hai dam lene kī mohlat sham-e-mahfil ko
idhar parvāna hotā hai udhar parvāna hotā hai
harīf-e-nargis-e-mastāna kyā koī tumhārā ho
jise dīvāna tum karte ho vo dīvāna hotā hai
kabhī rindān-e-mahfil be-piye maḳhmūr hote haiñ
kabhī ye ḳhaas faiz-e-nargis-e-mastāna hotā hai
jab un se zo'm-e-ḳhuddārī meñ khiñch jaatā huuñ kahtī haiñ
ye tarz-e-mīrzāyāna to ma.ashūqāna hotā hai
jab abr-e-mai-kada-bar-dosh sehn-e-bāġh meñ aa.e
usī ko kahte haiñ farzāna jo dīvāna hotā hai
janāb-e-vā.iz-e-rangīñ-bayāñ se koī ye pūchhe
ki kyoñ har va.az meñ zikr-e-mai-o-paimāna hotā hai
maiñ kahne ko to apnī dāstān-e-ishq kahtā huuñ
magar muñh se nikal kar husn kā afsāna hotā hai
mai-e-ummīd se bhar letā huuñ aajiz nahīñ hotā
tahī-dastī meñ jab ḳhālī mirā paimāna hotā hai
baḌhā detā huuñ maiñ ḳhud haath ruktā hai agar saaqī
mirā har fe.al bazm-e-mai meñ be-bākāna hotā hai
abhī jo raaz hai pinhāñ ayaañ ho jā.egā ik din
ki afsūn-e-mohabbat hī to phir afsāna hotā hai
rahī qaid-e-makāñ se mai-kashī āzād 'bedil' kī
jahāñ vo baiTh jaatā hai vahī mai-ḳhāna hotā hai
mera tarz-e-bayan-e-shauq bebakana hota hai
amal jo rind se hota hai wo rindana hota hai
meri rudad mein muzmar hai haal-e-zindagi tera
bayan-e-ishq goya husn ka afsana hota hai
nahin milti hai dam lene ki mohlat sham-e-mahfil ko
idhar parwana hota hai udhar parwana hota hai
harif-e-nargis-e-mastana kya koi tumhaara ho
jise diwana tum karte ho wo diwana hota hai
kabhi rindan-e-mahfil be-piye maKHmur hote hain
kabhi ye KHas faiz-e-nargis-e-mastana hota hai
jab un se zo'm-e-KHuddari mein khinch jata hun kahti hain
ye tarz-e-mirzayana to mashuqana hota hai
jab abr-e-mai-kada-bar-dosh sehn-e-bagh mein aae
usi ko kahte hain farzana jo diwana hota hai
janab-e-waiz-e-rangin-bayan se koi ye puchhe
ki kyon har waz mein zikr-e-mai-o-paimana hota hai
main kahne ko to apni dastan-e-ishq kahta hun
magar munh se nikal kar husn ka afsana hota hai
mai-e-ummid se bhar leta hun aajiz nahin hota
tahi-dasti mein jab KHali mera paimana hota hai
baDha deta hun main KHud hath rukta hai agar saqi
mera har feal bazm-e-mai mein be-bakana hota hai
abhi jo raaz hai pinhan ayan ho jaega ek din
ki afsun-e-mohabbat hi to phir afsana hota hai
rahi qaid-e-makan se mai-kashi aazad 'bedil' ki
jahan wo baiTh jata hai wahi mai-KHana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.