mera wajud azabon ki dhup-chhanw mein tha
mirā vajūd 'azāboñ kī dhūp-chhāñv meñ thā
zamīñ kī qaid se niklā to maiñ ḳhalāoñ meñ thā
pilā ke zahr añdhere kā pī gayā amrit
libās-e-ḳhizr meñ jo shaḳhs rahnumāoñ meñ thā
varaq ulaT de kabhī hañs ke chhīn le vo kitāb
usī kā rang na.ī mausamī havāoñ meñ thā
Thahar ke dam na le har samt haiñ sarāb yahāñ
huā hai zard vo paudā jo sard chhāñv meñ thā
nadī pe khet meñ panghaT pe har jagah maujūd
usī ke saath rahā jab 'salīm' gaañv meñ thā
mera wajud 'azabon ki dhup-chhanw mein tha
zamin ki qaid se nikla to main KHalaon mein tha
pila ke zahr andhere ka pi gaya amrit
libas-e-KHizr mein jo shaKHs rahnumaon mein tha
waraq ulaT de kabhi hans ke chhin le wo kitab
usi ka rang nai mausami hawaon mein tha
Thahar ke dam na le har samt hain sarab yahan
hua hai zard wo pauda jo sard chhanw mein tha
nadi pe khet mein panghaT pe har jagah maujud
usi ke sath raha jab 'salim' ganw mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.