mera wajud hai ek naqsh-e-ab ki surat
mirā vajūd hai ik naqsh-e-āb kī sūrat
shikast jis kā muqaddar hai ḳhvāb kī sūrat
bikhar na jā.ūñ fazā meñ varaq varaq ho kar
havā kī zad meñ huuñ kohna kitāb kī sūrat
tanāv had se baḌhegā to TuuT jā.eñge
diloñ ke rābte tār-e-rabāb kī sūrat
kisī bhī lamhe nikal jā.ūñgā havā kī tarah
mirā badan hai hisār-e-habāb kī sūrat
darūn-e-sīna koī chīḳhtā hai shām-o-sahar
ye qahqahe to haiñ ruḳh par naqāb kī sūrat
ġhurūr-e-vaqt se nashsha huā sivā 'sābir'
mirī anā thī purānī sharāb kī sūrat
mera wajud hai ek naqsh-e-ab ki surat
shikast jis ka muqaddar hai KHwab ki surat
bikhar na jaun faza mein waraq waraq ho kar
hawa ki zad mein hun kohna kitab ki surat
tanaw had se baDhega to TuT jaenge
dilon ke rabte tar-e-rabab ki surat
kisi bhi lamhe nikal jaunga hawa ki tarah
mera badan hai hisar-e-habab ki surat
darun-e-sina koi chiKHta hai sham-o-sahar
ye qahqahe to hain ruKH par naqab ki surat
ghurur-e-waqt se nashsha hua siwa 'sabir'
meri ana thi purani sharab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.