mera wajud hai kya zarra-e-fuzul hun main
mirā vajūd hai kyā zarra-e-fuzūl huuñ maiñ
ye kam nahīñ hai ki us rāste kī dhuul huuñ maiñ
vo din bhī the ki maiñ ik sāya-dār bargad thā
ye rut bhī aa.ī ki ik ḳhushk sā babūl huuñ maiñ
badal rahī haiñ har ik pal hayāt kī qadreñ
aur aise daur meñ ik mard-e-bā-e-usūl huuñ maiñ
maiñ kyā batā.ūñ ki ḳhud mujh ko bhī nahīñ ma.alūm
ye kaisā ġham hai mujhe kis liye malūl huuñ maiñ
na pā sakegā koī 'najm' rang-o-bū mujh meñ
hazār baar jo maslā gayā vo phuul huuñ maiñ
mera wajud hai kya zarra-e-fuzul hun main
ye kam nahin hai ki us raste ki dhul hun main
wo din bhi the ki main ek saya-dar bargad tha
ye rut bhi aai ki ek KHushk sa babul hun main
badal rahi hain har ek pal hayat ki qadren
aur aise daur mein ek mard-e-ba-e-usul hun main
main kya bataun ki KHud mujh ko bhi nahin malum
ye kaisa gham hai mujhe kis liye malul hun main
na pa sakega koi 'najm' rang-o-bu mujh mein
hazar bar jo masla gaya wo phul hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.