mera wajud wahi hai teri kahani mein
mirā vajūd vahī hai tirī kahānī meñ
ki jaise machhliyāñ paltī haiñ yaar paanī meñ
laboñ kī chāshnī hai aaj tak vahī kī vahī
tumhārā naam liyā thā kabhī ravānī meñ
bichhaḌ ke us se kisī aur se milā thā maiñ
badal ke shakl vo aaya thā zindagānī meñ
maiñ us ke jism kī ḳhushbū ko DhūñDhtā hī rahā
na vo gulāb meñ paa.ī na raat raanī meñ
kisī ko andhe kueñ meñ amaan baḳhshī hai
kisī kī jaan bachā.ī hai bahte paanī meñ
suḳhan kī bārisheñ hotī haiñ aaj tak 'kāshif'
kisī kā sher sunā thā kabhī javānī meñ
mera wajud wahi hai teri kahani mein
ki jaise machhliyan palti hain yar pani mein
labon ki chashni hai aaj tak wahi ki wahi
tumhaara nam liya tha kabhi rawani mein
bichhaD ke us se kisi aur se mila tha main
badal ke shakl wo aaya tha zindagani mein
main us ke jism ki KHushbu ko DhunDhta hi raha
na wo gulab mein pai na raat rani mein
kisi ko andhe kuen mein aman baKHshi hai
kisi ki jaan bachai hai bahte pani mein
suKHan ki barishen hoti hain aaj tak 'kashif'
kisi ka sher suna tha kabhi jawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.