mera wujud nahin hai faqat jahan ke liye
mirā vujūd nahīñ hai faqat jahāñ ke liye
mujhe ḳhudā ne banāyā hai lā-makāñ ke liye
mirā vujūd zamīñ kī hadoñ talak hī nahīñ
mirā safar to musalsal hai do-jahāñ ke liye
ye mere tajrabe hī manziloñ ke rahbar haiñ
maiñ sochtā hī nahīñ mīr-e-kārvāñ ke liye
havā-e-garm ne shāḳheñ tabāh kar Dālīñ
lagā.e the jo shajar ham ne sā.ebāñ ke liye
uḌā diye haiñ na jaane kahāñ havā ne sab
jo tinke chun liye the maiñ ne āshiyāñ ke liye
zamāne ke liye rahbar se kam nahīñ hai tū
tirā vujūd nahīñ hai faqat fuġhāñ ke liye
visāl-e-yār kī ḳhvāhish meñ dil taḌaptā hai
zamīn jaise taḌaptī hai āsmāñ ke liye
mirī hayāt to kuchh bhī nahīñ tumhāre baġhair
tumhārā 'ishq zarūrī hai qalb-o-jāñ ke liye
ye rang-o-bū ye gulistāñ ye ḳhushnumā manzar
tumhārā husn hī kaafī hai dāstāñ ke liye
maiñ is jahāñ meñ huuñ lekin phir ik jahāñ hai aur
ye zindagī hai haqīqat meñ us jahāñ ke liye
tū rang-o-bū ke nazāroñ meñ kho na jā 'ash.har'
ye rang-o-bū haiñ faqat tere imtihāñ ke liye
mera wujud nahin hai faqat jahan ke liye
mujhe KHuda ne banaya hai la-makan ke liye
mera wujud zamin ki hadon talak hi nahin
mera safar to musalsal hai do-jahan ke liye
ye mere tajrabe hi manzilon ke rahbar hain
main sochta hi nahin mir-e-karwan ke liye
hawa-e-garm ne shaKHen tabah kar Dalin
lagae the jo shajar hum ne saeban ke liye
uDa diye hain na jaane kahan hawa ne sab
jo tinke chun liye the main ne aashiyan ke liye
zamane ke liye rahbar se kam nahin hai tu
tera wujud nahin hai faqat fughan ke liye
visal-e-yar ki KHwahish mein dil taDapta hai
zamin jaise taDapti hai aasman ke liye
meri hayat to kuchh bhi nahin tumhaare baghair
tumhaara 'ishq zaruri hai qalb-o-jaan ke liye
ye rang-o-bu ye gulistan ye KHushnuma manzar
tumhaara husn hi kafi hai dastan ke liye
main is jahan mein hun lekin phir ek jahan hai aur
ye zindagi hai haqiqat mein us jahan ke liye
tu rang-o-bu ke nazaron mein kho na ja 'ashhar'
ye rang-o-bu hain faqat tere imtihan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.