mera yaqin kahin tha mera guman kahin
mirā yaqīn kahīñ thā mirā gumān kahīñ
maiñ kho gayā inhī donoñ ke darmiyān kahīñ
suḳhan-tarāz huā huuñ maiñ apne dil ke ḳhilāf
chipak na jaa.e mire nutq se zabān kahīñ
isī liye to kabhī mujtama’ na ho paayā
mirā zamān kahīñ thā mirā makān kahīñ
mizāj-e-dahr nahīñ e'tidāl par sāhib
chalī na jaa.e mire shahr se amaan kahīñ
bayān karne lagā huuñ shikastagī dil kī
chalā na jaa.e tirī samt merā dhyān kahīñ
kamand Daal rahā hai diloñ pe ḳhauf 'munīr'
simaT na jaa.e paroñ meñ mirī uḌaan kahīñ
mera yaqin kahin tha mera guman kahin
main kho gaya inhi donon ke darmiyan kahin
suKHan-taraaz hua hun main apne dil ke KHilaf
chipak na jae mere nutq se zaban kahin
isi liye to kabhi mujtama’ na ho paya
mera zaman kahin tha mera makan kahin
mizaj-e-dahr nahin e'tidal par sahib
chali na jae mere shahr se aman kahin
bayan karne laga hun shikastagi dil ki
chala na jae teri samt mera dhyan kahin
kamand Dal raha hai dilon pe KHauf 'munir'
simaT na jae paron mein meri uDan kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.