mera ye zaKHm sine ka kahin bharta hai sine se
mera ye zaKHm sine ka kahin bharta hai sine se
Sardar Genda Singh Mashriqi
MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi
mirā ye zaḳhm siine kā kahīñ bhartā hai siine se
lagā.e ai sanam jab tak na tū siine ko siine se
falak ne shādmāñ dekhā jise aayā usī ke sar
ḳhudā mahfūz har insāñ ko rakkhe is kamīne se
jo le jaate haiñ dil merā bachānā Thes se us ko
vo hai ai sang-dil nāzuk ziyāda ābgīne se
na hogī duur ġhash merī gulāb-o-mushk-o-ambar se
mire ruḳh ko tū dho ai gul-badan apne pasīne se
kahīñ ye saaf hotā hai kudūrat aur kiine se
agar zaḳhm-e-jigar mil bhī gayā dushman ke siine se
dil ik dahne rahā gar dūsrā daa.im rahā baa.eñ
na do bāham hue dil go milā siina bhī siine se
koī ranj-o-alam aa.e na dil ke paas ai saaqī
jo ho āġhāz-e-mai-noshī moharram ke mahīne se
tū chāhe dūsroñ ko aur ham marte phireñ tujh par
hamāre vāste marnā hai behtar aise jiine se
samajhnā chāhiye kiine se siina hai bharā us kā
kiyā hai 'mashriqī' inkār jis ne mai ke piine se
mera ye zaKHm sine ka kahin bharta hai sine se
lagae ai sanam jab tak na tu sine ko sine se
falak ne shadman dekha jise aaya usi ke sar
KHuda mahfuz har insan ko rakkhe is kamine se
jo le jate hain dil mera bachana Thes se us ko
wo hai ai sang-dil nazuk ziyaada aabgine se
na hogi dur ghash meri gulab-o-mushk-o-ambar se
mere ruKH ko tu dho ai gul-badan apne pasine se
kahin ye saf hota hai kudurat aur kine se
agar zaKHm-e-jigar mil bhi gaya dushman ke sine se
dil ek dahne raha gar dusra daim raha baen
na do baham hue dil go mila sina bhi sine se
koi ranj-o-alam aae na dil ke pas ai saqi
jo ho aaghaz-e-mai-noshi moharram ke mahine se
tu chahe dusron ko aur hum marte phiren tujh par
hamare waste marna hai behtar aise jine se
samajhna chahiye kine se sina hai bhara us ka
kiya hai 'mashriqi' inkar jis ne mai ke pine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.