mere aage wo aa kar chup khaDa tha
mire aage vo aa kar chup khaḌā thā
mujhe mā'lūm hai kyā kah rahā thā
zamāna dekh kar hairat-zada thā
maiñ rote rote kyoñ hañsne lagā thā
hilā kar jis ne mujh ko rakh diyā thā
kisī kī yaad thī yā zalzala thā
bahut taklīf sah kar mar gayā maiñ
mujhe sach bolne kā ‘āriza thā
maiñ patthar thā par ik shīshe kī ḳhātir
shikasta mujh ko honā paḌ gayā thā
'kamāl' us se judā ho kar musalsal
judā.ī par maiñ nazmeñ kah rahā thā
mere aage wo aa kar chup khaDa tha
mujhe ma'lum hai kya kah raha tha
zamana dekh kar hairat-zada tha
main rote rote kyon hansne laga tha
hila kar jis ne mujh ko rakh diya tha
kisi ki yaad thi ya zalzala tha
bahut taklif sah kar mar gaya main
mujhe sach bolne ka ‘ariza tha
main patthar tha par ek shishe ki KHatir
shikasta mujh ko hona paD gaya tha
'kamal' us se juda ho kar musalsal
judai par main nazmen kah raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.