mere aage wo surat aa rahi hai
mire aage vo sūrat aa rahī hai
nigāh-e-ārzū tharrā rahī hai
sadā-e-zindagī ye aa rahī hai
tamanna āzmā.ī jā rahī hai
tavajjoh se suno tum naġhma-e-ishq
hamārī aarzū kuchh gā rahī hai
zarā sahrā-navardī kījiye phir
hameñ vahshat yahī samjhā rahī hai
ilāhī ho dil-e-betāb kī ḳhair
kisī kī yaad phir taḌpā rahī hai
baḌhā jaatā hai darmāñ se mirā dard
sadā-e-dil ye paiham aa rahī hai
ruḳh-e-rangīñ kisī kā hai nazar meñ
bahār-e-zindagī itrā rahī hai
mashiyyat naam hai tāqat kā shāyad
abas ġhairat tirī sharmā rahī hai
tasavvur aur phir lutf-e-tasavvur
hameñ to niiñd is se aa rahī hai
nigāh-e-nāz ko jumbish to phir do
na jaane kyoñ adā ye bhā rahī hai
hayāt-o-maut kī is kashmakash ko
ajal bhī dekh kar ghabrā rahī hai
sunā.ūñ dāstān-e-zindagī kyā
musībat par musībat aa rahī hai
sañbhal jaa.e tabī.at ġhair mumkin
tamanna kyoñ ise bahlā rahī hai
mubārak ho naved-e-marg tum ko
hamārī be-kasī ye gā rahī hai
havā-e-ranj kī tāsīr dekho
masarrat kī kalī kumhlā rahī hai
karūñ sair-e-bayābāñ ab 'vafā' maiñ
mirī vahshat mujhe le jā rahī hai
mere aage wo surat aa rahi hai
nigah-e-arzu tharra rahi hai
sada-e-zindagi ye aa rahi hai
tamanna aazmai ja rahi hai
tawajjoh se suno tum naghma-e-ishq
hamari aarzu kuchh ga rahi hai
zara sahra-nawardi kijiye phir
hamein wahshat yahi samjha rahi hai
ilahi ho dil-e-betab ki KHair
kisi ki yaad phir taDpa rahi hai
baDha jata hai darman se mera dard
sada-e-dil ye paiham aa rahi hai
ruKH-e-rangin kisi ka hai nazar mein
bahaar-e-zindagi itra rahi hai
mashiyyat nam hai taqat ka shayad
abas ghairat teri sharma rahi hai
tasawwur aur phir lutf-e-tasawwur
hamein to nind is se aa rahi hai
nigah-e-naz ko jumbish to phir do
na jaane kyon ada ye bha rahi hai
hayat-o-maut ki is kashmakash ko
ajal bhi dekh kar ghabra rahi hai
sunaun dastan-e-zindagi kya
musibat par musibat aa rahi hai
sanbhal jae tabiat ghair mumkin
tamanna kyon ise bahla rahi hai
mubarak ho nawed-e-marg tum ko
hamari be-kasi ye ga rahi hai
hawa-e-ranj ki tasir dekho
masarrat ki kali kumhla rahi hai
karun sair-e-bayaban ab 'wafa' main
meri wahshat mujhe le ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.