mere ahbab jo kuchh mere bare mujhse kahte hain
mire ahbāb jo kuchh mere baare mujh se kahte haiñ
maiñ us par kuchh nahīñ kahtā to saare mujh se kahte haiñ
zarā Thahro abhī ummīd kā dāman nahīñ chhoḌo
maiñ raushan hone vaalā huuñ sitāre mujh se kahte haiñ
vo do āñkheñ samundar haiñ tum un meñ kyoñ utarte ho
koī pūchhe to kahtā huuñ kināre mujh se kahte haiñ
mujhe ik mehrbāñ ne ḳhāmushī sunñā sikhāyā to
jinheñ bhī un kā ḳhālī-pan pukāre mujh se kahte haiñ
mujhe lagtā hai jaise maiñ koī autār utrā huuñ
Dubo.e yā unheñ koī ubhāre mujh se kahte haiñ
hameñ bhī to na.ī tahzīb ke pannoñ meñ rahne do
patangeñ kāġhazī kashtī ġhubāre mujh se kahte haiñ
mere ahbab jo kuchh mere bare mujh se kahte hain
main us par kuchh nahin kahta to sare mujh se kahte hain
zara Thahro abhi ummid ka daman nahin chhoDo
main raushan hone wala hun sitare mujh se kahte hain
wo do aankhen samundar hain tum un mein kyon utarte ho
koi puchhe to kahta hun kinare mujh se kahte hain
mujhe ek mehrban ne KHamushi sunna sikhaya to
jinhen bhi un ka KHali-pan pukare mujh se kahte hain
mujhe lagta hai jaise main koi autar utra hun
Duboe ya unhen koi ubhaare mujh se kahte hain
hamein bhi to nai tahzib ke pannon mein rahne do
patangen kaghazi kashti ghubare mujh se kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.