mere ‘alawa ghair ka KHayal kaise aa gaya
mire ‘alāva ġhair kā ḳhayāl kaise aa gayā
tumhāre dil ke shīshe meñ ye baal kaise aa gayā
abhī to lazzat-e-ḳhalish se dil mirā bharā na thā
abhī se zaḳhm-e-dil meñ indimāl kaise aa gayā
abhī to dil ke thāmne ko haath bhī uThā nahīñ
abhī se dhaḌkanoñ meñ e'tidāl kaise aa gayā
abhī to nā-tamām haiñ firāq kī sa’ūbateñ
abhī se dil ko muzhda-e-visāl kaise aa gayā
abhī bisāt-e-raqs-o-rang bazm meñ bichhī hī thī
ruḳh-e-tarab pe rang-e-sad-malāl kaise aa gayā
tumheñ jo naaz thā 'zakī' bulandiyoñ pe is qadar
ye kyā huā ‘urūj par zavāl kaise aa gayā
mere ‘alawa ghair ka KHayal kaise aa gaya
tumhaare dil ke shishe mein ye baal kaise aa gaya
abhi to lazzat-e-KHalish se dil mera bhara na tha
abhi se zaKHm-e-dil mein indimal kaise aa gaya
abhi to dil ke thamne ko hath bhi uTha nahin
abhi se dhaDkanon mein e'tidal kaise aa gaya
abhi to na-tamam hain firaq ki sa’ubaten
abhi se dil ko muzhda-e-visal kaise aa gaya
abhi bisat-e-raqs-o-rang bazm mein bichhi hi thi
ruKH-e-tarab pe rang-e-sad-malal kaise aa gaya
tumhein jo naz tha 'zaki' bulandiyon pe is qadar
ye kya hua ‘uruj par zawal kaise aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.