mere andar rawani KHatm hoti ja rahi hai
mire andar ravānī ḳhatm hotī jā rahī hai
so lagtā hai kahānī ḳhatm hotī jā rahī hai
use chhū kar laboñ se phuul jhaḌne lag ga.e haiñ
mirī ātish-fishānī ḳhatm hotī jā rahī hai
sulagte dasht meñ ab dhuup sahnā paḌ ga.ī hai
tumhārī sā.ebānī ḳhatm hotī jā rahī hai
hamārā dil zamāne se ulajhne lag gayā hai
tumhārī hukmarānī ḳhatm hotī jā rahī hai
samundar se simaT kar jhiil bante jā rahe haiñ
hamārī be-karānī ḳhatm hotī jā rahī hai
mere andar rawani KHatm hoti ja rahi hai
so lagta hai kahani KHatm hoti ja rahi hai
use chhu kar labon se phul jhaDne lag gae hain
meri aatish-fishani KHatm hoti ja rahi hai
sulagte dasht mein ab dhup sahna paD gai hai
tumhaari saebani KHatm hoti ja rahi hai
hamara dil zamane se ulajhne lag gaya hai
tumhaari hukmarani KHatm hoti ja rahi hai
samundar se simaT kar jhil bante ja rahe hain
hamari be-karani KHatm hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.