mere azizo tumhein sunaun wo haal apna jo chal raha hai
mire azīzo tumheñ sunā.ūñ vo haal apnā jo chal rahā hai
ḳhamoshiyoñ ke hasīn jhurmuT meñ dam hamārā nikal rahā hai
sabhī dalīleñ huiiñ haiñ nāqis hai ḳhuuñ se lat-pat har ek manzar
har ek a.alā zahīn-o-dānish qadam qadam pe sañbhal rahā hai
ajab fazāoñ kā ruḳh huā hai zamīñ kī chādar sarak chukī hai
qadam jahāñ pe maiñ rakh rahā huuñ vahīñ se laavā nikal rahā hai
ye ahd-e-hāzir kī hai haqīqat ki āsmāñ kī ināyateñ haiñ
zamīñ pe eḌī ragaḌ rahā huuñ lahūñ kā chashma ubal rahā hai
mujassamoñ kī ḳhamosh āñkhoñ se ḳhuuñ Tapakne kī hai alāmat
mirī ġhazal kā nafīs lahja bhī saḳht nauhe meñ Dhal rahā hai
ye sūkhe peḌoñ ke zard patte mirī tabāhī pe hans rahe haiñ
unheñ ḳhabar kyā ki rafta-rafta samay kā sūraj pighal rahā hai
hayāt ke us muāmle ko bayān karnā bhī hai zarūrī
jabhī se 'ālam' samajh meñ aayā tabhī se chashma badal rahā hai
mere azizo tumhein sunaun wo haal apna jo chal raha hai
KHamoshiyon ke hasin jhurmuT mein dam hamara nikal raha hai
sabhi dalilen huin hain naqis hai KHun se lat-pat har ek manzar
har ek aala zahin-o-danish qadam qadam pe sanbhal raha hai
ajab fazaon ka ruKH hua hai zamin ki chadar sarak chuki hai
qadam jahan pe main rakh raha hun wahin se lawa nikal raha hai
ye ahd-e-hazir ki hai haqiqat ki aasman ki inayaten hain
zamin pe eDi ragaD raha hun lahun ka chashma ubal raha hai
mujassamon ki KHamosh aankhon se KHun Tapakne ki hai alamat
meri ghazal ka nafis lahja bhi saKHt nauhe mein Dhal raha hai
ye sukhe peDon ke zard patte meri tabahi pe hans rahe hain
unhen KHabar kya ki rafta-rafta samay ka suraj pighal raha hai
hayat ke us muamle ko bayan karna bhi hai zaruri
jabhi se 'alam' samajh mein aaya tabhi se chashma badal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.