mere bachche mujhe meri baqa ke istiare hain
mere bachche mujhe meri baqa ke istiare hain
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
mire bachche mujhe merī baqā ke isti.āre haiñ
ye merī zindagī ke chāñd sūraj aur taare haiñ
ye ham ne kab kahā hai tum hamāre hī hamāre ho
yaqīnan ye kahā hai ham tumhāre hī tumhāre haiñ
ajab ik silsila hai aag paanī kā mire andar
mirī āñkheñ ki dariyā haiñ mirī sāñseñ sharāre haiñ
kahā to hai ḳhushī terī to ġham saare mohabbat ke
hamāre haiñ hamāre haiñ hamāre haiñ hamāre haiñ
hamāre paas vo ujḌā huā har baar hī aayā
lab-o-ruḳhsār-o-āriz bārhā us ke sañvāre haiñ
hai qīmat in dinoñ joban pe pindār-e-marāsim kī
so girvī rakh ke jism-o-jāñ ko ye qarze utāre haiñ
'na.īm' us ko mubārakbād us kī jiit par dil se
use ye kyā patā hai kis tarah ham us se haare haiñ
mere bachche mujhe meri baqa ke istiare hain
ye meri zindagi ke chand suraj aur tare hain
ye hum ne kab kaha hai tum hamare hi hamare ho
yaqinan ye kaha hai hum tumhaare hi tumhaare hain
ajab ek silsila hai aag pani ka mere andar
meri aankhen ki dariya hain meri sansen sharare hain
kaha to hai KHushi teri to gham sare mohabbat ke
hamare hain hamare hain hamare hain hamare hain
hamare pas wo ujDa hua har bar hi aaya
lab-o-ruKHsar-o-ariz barha us ke sanware hain
hai qimat in dinon joban pe pindar-e-marasim ki
so girwi rakh ke jism-o-jaan ko ye qarze utare hain
'naim' us ko mubarakbaad us ki jit par dil se
use ye kya pata hai kis tarah hum us se haare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.