mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
mire badan meñ pighaltā huā sā kuchh to hai
ik aur zaat meñ Dhaltā huā sā kuchh to hai
mirī sadā na sahī haañ mirā lahū na sahī
ye mauj mauj uchhaltā huā sā kuchh to hai
kahīñ na āḳhirī jhoñkā ho miTte rishtoñ kā
ye darmiyāñ se nikaltā huā sā kuchh to hai
nahīñ hai aañkh ke sahrā meñ ek buuñd sarāb
magar ye rang badaltā huā sā kuchh to hai
jo mere vāste kal zahr ban ke niklegā
tire laboñ pe sañbhaltā huā sā kuchh to hai
ye 'aks paikar-e-sad-lams hai nahīñ na sahī
kisī ḳhayāl meñ Dhaltā huā sā kuchh to hai
badan ko toḌ ke bāhar nikalnā chāhtā hai
ye kuchh to hai ye machaltā huā sā kuchh to hai
kisī ke vāste hogā payām yā koī qahr
hamāre sar se ye Taltā huā sā kuchh to hai
ye maiñ nahīñ na sahī apne sard bistar par
ye karvaTeñ sī badaltā huā sā kuchh to hai
vo kuchh to thā maiñ sahārā jise samajhtā thā
ye mere saath phisaltā huā sā kuchh to hai
bikhar rahā hai fazā meñ ye duud raushnī kā
udhar pahāḌ ke jaltā huā sā kuchh to hai
mire vujūd se jo kaT rahā hai gām-ba-gām
ye apnī raah badaltā huā sā kuchh to hai
jo chāTtā chalā jaatā hai mujh ko ai 'bānī'
ye āstīn meñ paltā huā sā kuchh to hai
mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
ek aur zat mein Dhalta hua sa kuchh to hai
meri sada na sahi han mera lahu na sahi
ye mauj mauj uchhalta hua sa kuchh to hai
kahin na aaKHiri jhonka ho miTte rishton ka
ye darmiyan se nikalta hua sa kuchh to hai
nahin hai aankh ke sahra mein ek bund sarab
magar ye rang badalta hua sa kuchh to hai
jo mere waste kal zahr ban ke niklega
tere labon pe sanbhalta hua sa kuchh to hai
ye 'aks paikar-e-sad-lams hai nahin na sahi
kisi KHayal mein Dhalta hua sa kuchh to hai
badan ko toD ke bahar nikalna chahta hai
ye kuchh to hai ye machalta hua sa kuchh to hai
kisi ke waste hoga payam ya koi qahr
hamare sar se ye Talta hua sa kuchh to hai
ye main nahin na sahi apne sard bistar par
ye karwaTen si badalta hua sa kuchh to hai
wo kuchh to tha main sahaara jise samajhta tha
ye mere sath phisalta hua sa kuchh to hai
bikhar raha hai faza mein ye dud raushni ka
udhar pahaD ke jalta hua sa kuchh to hai
mere wujud se jo kaT raha hai gam-ba-gam
ye apni rah badalta hua sa kuchh to hai
jo chaTta chala jata hai mujh ko ai 'bani'
ye aastin mein palta hua sa kuchh to hai
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. Bani Manchanda)
- Publication : Maktaba Tehreek, Ansari Market,Daryaganj,New Delhi (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.