mere badan pe saja hai barahnagi ka libas
mire badan pe sajā hai barahnagī kā libās
yahī libās huā merī zindagī kā libās
mirā ye jurm ki merī anā ke shānoñ par
paḌā huā hai ġham-e-marg-e-dostī kā libās
na mujh ko ḳhvāhish-e-hastī na aas marne kī
ki ab laboñ ne dikhāyā hai tishnagī kā libās
fasīl-e-shahr pe merī sadā bhī raushan hai
zamāna pheñkne vaalā hai tīrgī kā libās
vo jism-o-jāñ ko chhupā.e to phir bhī uryāñ hai
ki merī aañkh meñ raqsāñ hai rahbarī kā libās
lahū ke rang kī surḳhī badan kī vīrānī
kis ehtimām se laayā hai aadmī kā libās
ye garm sard havā.eñ ye āñdhiyāñ 'tāhir'
ki chāk-chāk huā ab ke āgahī kā libās
mere badan pe saja hai barahnagi ka libas
yahi libas hua meri zindagi ka libas
mera ye jurm ki meri ana ke shanon par
paDa hua hai gham-e-marg-e-dosti ka libas
na mujh ko KHwahish-e-hasti na aas marne ki
ki ab labon ne dikhaya hai tishnagi ka libas
fasil-e-shahr pe meri sada bhi raushan hai
zamana phenkne wala hai tirgi ka libas
wo jism-o-jaan ko chhupae to phir bhi uryan hai
ki meri aankh mein raqsan hai rahbari ka libas
lahu ke rang ki surKHi badan ki virani
kis ehtimam se laya hai aadmi ka libas
ye garm sard hawaen ye aandhiyan 'tahir'
ki chaak-chaak hua ab ke aagahi ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.