mere buzurgon ki TuTi si jo haweli hai
mire buzurgoñ kī TuuTī sī jo havelī hai
ye tund-o-tez havāoñ ke saath khelī hai
kisī ġharīb kī hālat se tum nahīñ vāqif
maiñ jāntā huuñ musībat jo us ne jhelī hai
jo baat thī mire purkhoñ meñ un ke saath ga.ī
udaas ghar meñ ye tahzīb ab akelī hai
du'ā ke vaqt jo aañsū gire hathelī par
un āñsuoñ se munavvar mirī hathelī hai
maiñ dostoñ kī taraf dekhtā huuñ hairat se
'adīm' baat baḌī talḳh hai kasīlī hai
mere buzurgon ki TuTi si jo haweli hai
ye tund-o-tez hawaon ke sath kheli hai
kisi gharib ki haalat se tum nahin waqif
main jaanta hun musibat jo us ne jheli hai
jo baat thi mere purkhon mein un ke sath gai
udas ghar mein ye tahzib ab akeli hai
du'a ke waqt jo aansu gire hatheli par
un aansuon se munawwar meri hatheli hai
main doston ki taraf dekhta hun hairat se
'adim' baat baDi talKH hai kasili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.