mere chaara-gar tujhe kya KHabar, jo azab-e-hijr-o-visal hai
mere chaara-gar tujhe kya KHabar, jo azab-e-hijr-o-visal hai
Tasneem Abidi
MORE BYTasneem Abidi
mire chāra-gar tujhe kyā ḳhabar, jo azāb-e-hijr-o-visāl hai
ye darīda tan ye darīda man tirī chāhatoñ kā kamāl hai
mujhe saañs saañs girāñ lage, ye vajūd vahm-o-gumāñ lage
maiñ talāsh ḳhud ko karūñ kahāñ mirī zaat ḳhvāb-o-ḳhayāl hai
vo jo chashm-e-tar meñ Thahar gayā vo sitāra jaane kidhar gayā
na nashāt-e-ġham kā hujūm ab na hī sabz yaad kī Daal hai
use fasl fasl bhī sīñch kar milā saaya aur na milā samar
ye ajiib ishq kā peḌ hai ye ajiib shāḳh-e-nihāl hai
mirā harf harf usī kā hai mire ḳhvāb ḳhvāb meñ vo basā
jo qarīb rah ke bhī duur hai use paanā kitnā muhāl hai
mere chaara-gar tujhe kya KHabar, jo azab-e-hijr-o-visal hai
ye darida tan ye darida man teri chahaton ka kamal hai
mujhe sans sans giran lage, ye wajud wahm-o-guman lage
main talash KHud ko karun kahan meri zat KHwab-o-KHayal hai
wo jo chashm-e-tar mein Thahar gaya wo sitara jaane kidhar gaya
na nashat-e-gham ka hujum ab na hi sabz yaad ki Dal hai
use fasl fasl bhi sinch kar mila saya aur na mila samar
ye ajib ishq ka peD hai ye ajib shaKH-e-nihaal hai
mera harf harf usi ka hai mere KHwab KHwab mein wo basa
jo qarib rah ke bhi dur hai use pana kitna muhaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.