mere chaaron taraf ye sazish-e-tasKHir kaisi hai
mire chāroñ taraf ye sāzish-e-tasḳhīr kaisī hai
laraztā rahtā huuñ yā rab tirī tāmīr kaisī hai
kabhī to pūchhtī mujh se sabab merī udāsī kā
hamesha hañstī rahtī hai tirī tasvīr kaisī hai
agar us ke karam kī dhuup se mahrūm rahtā huuñ
to phir ye ḳhāna-e-dil meñ mire tanvīr kaisī hai
ham apne aap meñ āzād haiñ lekin ḳhudāvandā
hamāre dast-o-pā meñ vaqt kī zanjīr kaisī hai
bachātā hai mujhe tiir o sināñ se kaun roz o shab
jo mujh ko kāTtī rahtī hai vo shamshīr kaisī hai
ḳhalāoñ meñ munavvar chaar jānib aks hai kis kā
jo sat.h-e-āb par raushan hai vo tasvīr kaisī hai
agar tujh se mirī āvārgī dekhī nahīñ jaatī
to phir pāmāl karne meñ mujhe tāḳhīr kaisī hai
Thahartā hī nahīñ 'aḳhtar' koī lamha masarrat kā
guzartī hī nahīñ ye sā.at-e-dil-gīr kaisī hai
mere chaaron taraf ye sazish-e-tasKHir kaisi hai
larazta rahta hun ya rab teri tamir kaisi hai
kabhi to puchhti mujh se sabab meri udasi ka
hamesha hansti rahti hai teri taswir kaisi hai
agar us ke karam ki dhup se mahrum rahta hun
to phir ye KHana-e-dil mein mere tanwir kaisi hai
hum apne aap mein aazad hain lekin KHudawanda
hamare dast-o-pa mein waqt ki zanjir kaisi hai
bachata hai mujhe tir o sinan se kaun roz o shab
jo mujh ko kaTti rahti hai wo shamshir kaisi hai
KHalaon mein munawwar chaar jaanib aks hai kis ka
jo sath-e-ab par raushan hai wo taswir kaisi hai
agar tujh se meri aawargi dekhi nahin jati
to phir pamal karne mein mujhe taKHir kaisi hai
Thaharta hi nahin 'aKHtar' koi lamha masarrat ka
guzarti hi nahin ye saat-e-dil-gir kaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.