mere chehre se gham aankhon se hairani na jaegi
mire chehre se ġham āñkhoñ se hairānī na jā.egī
yahī sūrat rahegī aur pahchānī na jā.egī
tumhārā jhuuT mere sach kā qātil hai magar duniyā
tumhārī maan jā.egī mirī maanī na jā.egī
anā sar chaḌh ga.ī hai ik bagūle kī tarah aisī
ki sar jā.egā ik din ḳhū-e-uriyānī na jā.egī
tumhāre paas zanjīreñ hamāre dast o pā zaḳhmī
lahū zinda hai jab tak apnī man-mānī na jā.egī
mirā dukh bhī navishta hai mirī taqdīr kā shāyad
jo maiñ gul huuñ to merī chāk-dāmānī na jā.egī
sabā āvāra phirtī hai navāh-e-jāñ meñ barsoñ se
ye vo ḳhitta hai jis se us kī vīrānī na jā.egī
qalam dil meñ Dubo kar bhī 'mujībī' kuchh na haath aayā
ye vo ehsās hai jis kī pashemānī na jā.egī
mere chehre se gham aankhon se hairani na jaegi
yahi surat rahegi aur pahchani na jaegi
tumhaara jhuT mere sach ka qatil hai magar duniya
tumhaari man jaegi meri mani na jaegi
ana sar chaDh gai hai ek bagule ki tarah aisi
ki sar jaega ek din KHu-e-uriyani na jaegi
tumhaare pas zanjiren hamare dast o pa zaKHmi
lahu zinda hai jab tak apni man-mani na jaegi
mera dukh bhi nawishta hai meri taqdir ka shayad
jo main gul hun to meri chaak-damani na jaegi
saba aawara phirti hai nawah-e-jaan mein barson se
ye wo KHitta hai jis se us ki virani na jaegi
qalam dil mein Dubo kar bhi 'mujibi' kuchh na hath aaya
ye wo ehsas hai jis ki pashemani na jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.