mere dhyan mein hai ek mahal kahin chaubaron ka
mire dhyān meñ hai ik mahal kahīñ chaubāroñ kā
vahāñ jā.ūñ kaise rasta hai añgāroñ kā
vahāñ hariyālī ke kunj meñ ek baserā hai
vahāñ dariyā bahtā rahtā hai mahkāroñ kā
tum dil kā darīcha khol ke bāhar dekho to
amboh guzarne vaalā hai dil-dāroñ kā
mirī ḳhalvat ko ye insānoñ kā jañgal hai
mirī vahshat ko ye sahrā hai dīvāroñ kā
ik piile rañg kī dhund jamī hai chehroñ par
koī aa ke dekhe haal tire bīmāroñ kā
ham qarya qarya mulkoñ mulkoñ phirte haiñ
duniyā meñ koī des nahīñ banjāroñ kā
ḳhvāb kī daulat chain se sone vāloñ kī
taare ginnā kaam hai ham bedāroñ kā
mere dhyan mein hai ek mahal kahin chaubaron ka
wahan jaun kaise rasta hai angaron ka
wahan hariyali ke kunj mein ek basera hai
wahan dariya bahta rahta hai mahkaron ka
tum dil ka daricha khol ke bahar dekho to
amboh guzarne wala hai dil-daron ka
meri KHalwat ko ye insanon ka jangal hai
meri wahshat ko ye sahra hai diwaron ka
ek pile rang ki dhund jami hai chehron par
koi aa ke dekhe haal tere bimaron ka
hum qarya qarya mulkon mulkon phirte hain
duniya mein koi des nahin banjaron ka
KHwab ki daulat chain se sone walon ki
tare ginna kaam hai hum bedaron ka
- Book : Asaleeb (Pg. 607)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.