mere diwar-o-dar aansu mera raKHt-e-safar aansu
mire dīvār-o-dar aañsū mirā raḳht-e-safar aañsū
tirā dāman na hogā gar to jā.eñge kidhar aañsū
palaT aa.ī duā phir kyoñ koī ḳhurshīd māñgā thā
magar kyā arsh tak jaate mire be-bāl-o-par aañsū
vo patthar dil mujhe mahfil meñ hañste dekh hairāñ thā
maiñ dānista hī rakh aa.ī thī us din apne ghar aañsū
havā thī aisī ġhussailī ki bādal le uḌī saare
ye ġham sahne meñ sūkhe haiñ zamīñ ke kis qadar aañsū
shab-e-tanhā nazar aatā hai tujh meñ aks ye kis kā
mirī āñkhoñ meñ rahtā hai to merī fikr kar aañsū
mere diwar-o-dar aansu mera raKHt-e-safar aansu
tera daman na hoga gar to jaenge kidhar aansu
palaT aai dua phir kyon koi KHurshid manga tha
magar kya arsh tak jate mere be-baal-o-par aansu
wo patthar dil mujhe mahfil mein hanste dekh hairan tha
main danista hi rakh aai thi us din apne ghar aansu
hawa thi aisi ghussaili ki baadal le uDi sare
ye gham sahne mein sukhe hain zamin ke kis qadar aansu
shab-e-tanha nazar aata hai tujh mein aks ye kis ka
meri aankhon mein rahta hai to meri fikr kar aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.