mere dil ke dariche mein meri palkon ki chaukhaT par
mire dil ke darīche meñ mirī palkoñ kī chaukhaT par
abhī tak hai tirī ḳhushbū mire hoñToñ kī chaukhaT par
tirī aashā kā har shab meñ bujhā sā jo dikhā.ī de
vo taarā jhilmilā.e phir mirī sub.hoñ kī chaukhaT par
nayā phir dard kā mausam ye ġham shādāb phir hoñge
tire ḳhvāboñ kī dastak phir mire nainoñ kī chaukhaT par
tirī yādoñ ke sab jugnū sahar tak chunte rahte haiñ
tire paimāñ jo bikhre haiñ mirī rātoñ kī chaukhaT par
jo titlī ke paroñ jaisī mohabbat meñ kabhī guzre
abhī tak maiñ to baiThī huuñ unhī lamhoñ kī chaukhaT par
jahāñ bhī tū rahe jānāñ karam tujh par rahe rab kā
duā har pal mahaktī hai mire hoñToñ kī chaukhaT par
ajab sī gard phailī hai 'suman' ruḳhsār par mere
koī TuuTā sitāra hai mirī palkoñ kī chaukhaT par
mere dil ke dariche mein meri palkon ki chaukhaT par
abhi tak hai teri KHushbu mere honTon ki chaukhaT par
teri aasha ka har shab mein bujha sa jo dikhai de
wo tara jhilmilae phir meri subhon ki chaukhaT par
naya phir dard ka mausam ye gham shadab phir honge
tere KHwabon ki dastak phir mere nainon ki chaukhaT par
teri yaadon ke sab jugnu sahar tak chunte rahte hain
tere paiman jo bikhre hain meri raaton ki chaukhaT par
jo titli ke paron jaisi mohabbat mein kabhi guzre
abhi tak main to baiThi hun unhi lamhon ki chaukhaT par
jahan bhi tu rahe jaanan karam tujh par rahe rab ka
dua har pal mahakti hai mere honTon ki chaukhaT par
ajab si gard phaili hai 'suman' ruKHsar par mere
koi TuTa sitara hai meri palkon ki chaukhaT par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.