mere dil mein gardish-e-waqt ke kai daur aise guzar gae
mere dil mein gardish-e-waqt ke kai daur aise guzar gae
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
mire dil meñ gardish-e-vaqt ke ka.ī daur aise guzar ga.e
ki jo ubhre naqsh the miT ga.e jo miTe nishāñ the ubhar ga.e
zarā ahd-e-māzī ko jhāñk luuñ zarā moḌ ke pīchhe bhī dekh luuñ
mirā kārvāñ thā vo kyā huā mire ham-safar vo kidhar ga.e
vahīñ yaad aatī haiñ sūrateñ vahī dhundlī sī mūrateñ
vahī DhūñDtā huuñ maiñ naqsh-e-pā ki jo rahguzar meñ bikhar ga.e
hai vahī to hāsil-e-zindagī mujhe ab bhī un pe hī naaz hai
mirī zindagī ke vo raat din tirī yaad meñ jo guzar ga.e
na rahā vo pahlā sā rābta nahīñ dil se dil ko vo vāsta
liyā naam terā kisī ne jab ka.ī daaġh dil ke ubhar ga.e
mire jaam qalb-o-jigar ke the kisī lahza ḳhālī na rah sake
liyā naam terā kisī ne jab ka.ī daaġh dil ke ubhar ga.e
mire sāz-e-dil zarā jaag ab mujhe so.e ho ga.iiñ muddateñ
ye kināra dil kā ḳhamosh hai yahāñ kab ke tūfāñ utar ga.e
inhīñ jāñ-fazā mire naġhmoñ kā ai 'habīb' hashr ye kyā huā
kabhī ghuT ke dil meñ hī rah ga.e kabhī lab pe aa ke bikhar ga.e
mere dil mein gardish-e-waqt ke kai daur aise guzar gae
ki jo ubhre naqsh the miT gae jo miTe nishan the ubhar gae
zara ahd-e-mazi ko jhank lun zara moD ke pichhe bhi dekh lun
mera karwan tha wo kya hua mere ham-safar wo kidhar gae
wahin yaad aati hain suraten wahi dhundli si muraten
wahi DhunDta hun main naqsh-e-pa ki jo rahguzar mein bikhar gae
hai wahi to hasil-e-zindagi mujhe ab bhi un pe hi naz hai
meri zindagi ke wo raat din teri yaad mein jo guzar gae
na raha wo pahla sa rabta nahin dil se dil ko wo wasta
liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae
mere jam qalb-o-jigar ke the kisi lahza KHali na rah sake
liya nam tera kisi ne jab kai dagh dil ke ubhar gae
mere saz-e-dil zara jag ab mujhe soe ho gain muddaten
ye kinara dil ka KHamosh hai yahan kab ke tufan utar gae
inhin jaan-faza mere naghmon ka ai 'habib' hashr ye kya hua
kabhi ghuT ke dil mein hi rah gae kabhi lab pe aa ke bikhar gae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 18)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.