mere dil mein KHudi ka pas rakh de
mire dil meñ ḳhudī kā paas rakh de
nahīñ majbūr ye ehsās rakh de
añdherā baḳhsh kar itnā karam kar
nazar meñ raushnī kī aas rakh de
tū mere zabt kā bhī imtihāñ le
nadī ke paas merī pyaas rakh de
bahār aa.ī hai khil uTThegā sab kuchh
ye kāñTe bhī guloñ ke paas rakh de
musavvir haañ mirī tasvīr hai ye
par is kā naam ġham kī pyaas rakh de
farishtoñ ko tire jannat mubārak
mire hisse meñ tū ban-bās rakh de
mohabbat meñ na.ī lazzat kī ḳhātir
raqābat kā bhī kuchh ehsās rakh de
mere dil mein KHudi ka pas rakh de
nahin majbur ye ehsas rakh de
andhera baKHsh kar itna karam kar
nazar mein raushni ki aas rakh de
tu mere zabt ka bhi imtihan le
nadi ke pas meri pyas rakh de
bahaar aai hai khil uTThega sab kuchh
ye kanTe bhi gulon ke pas rakh de
musawwir han meri taswir hai ye
par is ka nam gham ki pyas rakh de
farishton ko tere jannat mubarak
mere hisse mein tu ban-bas rakh de
mohabbat mein nai lazzat ki KHatir
raqabat ka bhi kuchh ehsas rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.