mere dil mein zaKHm hi zaKHm hain mujhe tab-e-zabt rahi nahin
mire dil meñ zaḳhm hī zaḳhm haiñ mujhe tāb-e-zabt rahī nahīñ
maiñ alam-nasīb huuñ āj-kal mirī zindagī meñ ḳhushī nahīñ
unheñ rāzdār banā liyā unheñ haal dil kā sunā diyā
jinheñ dard koī milā nahīñ jinheñ choT koī lagī nahīñ
sabhī talḳhiyoñ ko bhulā diyā sabhī ranjishoñ ko miTā diyā
mire dost mujh pe yaqīn kar mire dil meñ koī kamī nahīñ
vahī bebasī vahī be-kasī vahī iztirāb hai aaj bhī
vo jo aag tū ne lagā.ī thī mirī zindagī meñ bujhī nahīñ
koī aur kartā jo be-ruḳhī to gila nahīñ thā mirā koī
mujhe sirf is kā malāl hai mirī baat tū ne sunī nahīñ
mere dil mein zaKHm hi zaKHm hain mujhe tab-e-zabt rahi nahin
main alam-nasib hun aaj-kal meri zindagi mein KHushi nahin
unhen raazdar bana liya unhen haal dil ka suna diya
jinhen dard koi mila nahin jinhen choT koi lagi nahin
sabhi talKHiyon ko bhula diya sabhi ranjishon ko miTa diya
mere dost mujh pe yaqin kar mere dil mein koi kami nahin
wahi bebasi wahi be-kasi wahi iztirab hai aaj bhi
wo jo aag tu ne lagai thi meri zindagi mein bujhi nahin
koi aur karta jo be-ruKHi to gila nahin tha mera koi
mujhe sirf is ka malal hai meri baat tu ne suni nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.