Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun

Jawed Adil Sohavi

mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun

Jawed Adil Sohavi

MORE BYJawed Adil Sohavi

    mire dil ne hai tujhe sadā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    ka.ī dinoñ se nahīñ milā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    dil-e-muztarib mire paas thā mujhe ġham azal se raas thā

    maiñ ka.ī dinoñ se udaas thā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    vo uThā to zauq-e-talab uThā mire dil se rañg-e-tarab uThā

    ye ḳhizāñ ke din mire rab uThā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    riyāz-e-hast se phuul chun mire dil meñ ab fanā dhun

    mujhe tujh se honā hai ab judā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    vo jo aarzū rafīq ho jo rafīq-e-dard-e-amīq ho

    mujhe de de aisī koī davā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    mire mizāj phuul hai nahīñ to aañkh fuzūl hai

    nazar jhiil meñ jhilmilā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    jahāñ ab hai malba paḌā huā yahāñ pahle koī nagar bhī thā

    mirā ghar nahīñ mujhe mil rahā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    mirī aañkh husn-parast hai mire gird shaam dasht hai

    koī tāq-e-dil meñ jalā diyā maiñ ka.ī dinoñ se udaas huuñ

    mere dil ne di hai tujhe sada main kai dinon se udas hun

    tu kai dinon se nahin mila main kai dinon se udas hun

    dil-e-muztarib mere pas tha mujhe gham azal se hi ras tha

    main kai dinon se udas tha main kai dinon se udas hun

    wo uTha to zauq-e-talab uTha mere dil se rang-e-tarab uTha

    ye KHizan ke din mere rab uTha main kai dinon se udas hun

    tu riyaz-e-hast se phul chun mere dil mein ab fana ki dhun

    mujhe tujh se hona hai ab juda main kai dinon se udas hun

    wo jo aarzu ki rafiq ho jo rafiq-e-dard-e-amiq ho

    mujhe de de aisi koi dawa main kai dinon se udas hun

    tu mere mizaj ka phul hai tu nahin to aankh fuzul hai

    tu nazar ki jhil mein jhilmila main kai dinon se udas hun

    jahan ab hai malba paDa hua yahan pahle koi nagar bhi tha

    mera ghar nahin mujhe mil raha main kai dinon se udas hun

    meri aankh husn-parast hai mere gird sham ka dasht hai

    koi taq-e-dil mein jala diya main kai dinon se udas hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now