mere dost bhi ajab hain jo fareb kha ke roe
mire dost bhī ajab haiñ jo fareb khā ke ro.e
mujhe āzmāne nikle mujhe aazmā ke ro.e
ye to jhuuT hai sarāsar ki vo paas aa ke ro.e
ye magar ġhalat nahīñ hai ki vo duur jā ke ro.e
hameñ qatl karne vaale kā pata thā dostoñ ko
usī ḳhushnumā balā se sabhī dil lagā ke ro.e
merī qabr ke sirhāne koī kaash aa ke kah de
ki mujhe miTāne vaale bhī mujhe miTā ke ro.e
the sabhī dhueñ kī zad meñ sabhī ashk-bār nikle
mirā ghar jalāne vaale mirā ghar jalā ke ro.e
hameñ apne ġham kā 'kishvar'' koī ġham nahīñ hai itnā
magar is kā ġham bahut hai ki unheñ rulā ke ro.e
mere dost bhi ajab hain jo fareb kha ke roe
mujhe aazmane nikle mujhe aazma ke roe
ye to jhuT hai sarasar ki wo pas aa ke roe
ye magar ghalat nahin hai ki wo dur ja ke roe
hamein qatl karne wale ka pata tha doston ko
usi KHushnuma bala se sabhi dil laga ke roe
meri qabr ke sirhane koi kash aa ke kah de
ki mujhe miTane wale bhi mujhe miTa ke roe
the sabhi dhuen ki zad mein sabhi ashk-bar nikle
mera ghar jalane wale mera ghar jala ke roe
hamein apne gham ka 'kishwar koi gham nahin hai itna
magar is ka gham bahut hai ki unhen rula ke roe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.