mere ghayab mein jis ne hansi uDai meri
mire ġhayāb meñ jis ne hañsī uḌaa.ī mirī
kisī ne kyā use hālat nahīñ batā.ī mirī
kashish kā radd-e-kashish hai amal kā radd-e-amal
badan se lamha-ba-lamha gurez-pā.ī mirī
maiñ ek baar samundar ko jaatā dekhā gayā
phir us ke baa'd kahīñ se ḳhabar na aa.ī mirī
alag na kar sakā ab tak maiñ us ke ajzā ko
ba.iid kyā hai ki hairat ho kīmiyā.ī mirī
na kuchh ufuq kā pata hai na kuchh umuud kā hai
na jaane kaisī fazā meñ hai par-kushā.ī mirī
maiñ aap to kahīñ ab tak pahuñch nahīñ paayā
magar jagah jagah pahuñchī hai nā-rasā.ī mirī
mujhe to arsa-e-barzaḳh thā jāñ-kanī jaisā
qayāmat aa.ī to sāñsoñ meñ saañs aa.ī mirī
vazāhat is kī koī aur kar sake to kare
mirī samajh se to bāhar hai be-navā.ī mirī
havā ke safhe pe fitrat-nigārī kartā rahūñ
shajar qalam hoñ samundar hoñ raushnā.ī mirī
nikal paḌūñgā vahāñ se phir aglī duniyā ko
kabhī jo ek jahāñ tak huī rasā.ī mirī
kiran se saañs kā majmūa nazm kartā huuñ
havā ko ilm hai tālīf hai ziyā.ī mirī
zamīñ ko jaatī hai 'shāhid' na āsmānoñ ko
jis ek rāhguzar par hai naqsh-pā.ī mirī
mere ghayab mein jis ne hansi uDai meri
kisi ne kya use haalat nahin batai meri
kashish ka radd-e-kashish hai amal ka radd-e-amal
badan se lamha-ba-lamha gurez-pai meri
main ek bar samundar ko jata dekha gaya
phir us ke ba'd kahin se KHabar na aai meri
alag na kar saka ab tak main us ke ajza ko
baid kya hai ki hairat ho kimiyai meri
na kuchh ufuq ka pata hai na kuchh umud ka hai
na jaane kaisi faza mein hai par-kushai meri
main aap to kahin ab tak pahunch nahin paya
magar jagah jagah pahunchi hai na-rasai meri
mujhe to arsa-e-barzaKH tha jaan-kani jaisa
qayamat aai to sanson mein sans aai meri
wazahat is ki koi aur kar sake to kare
meri samajh se to bahar hai be-nawai meri
hawa ke safhe pe fitrat-nigari karta rahun
shajar qalam hon samundar hon raushnai meri
nikal paDunga wahan se phir agli duniya ko
kabhi jo ek jahan tak hui rasai meri
kiran se sans ka majmua nazm karta hun
hawa ko ilm hai talif hai ziyai meri
zamin ko jati hai 'shahid' na aasmanon ko
jis ek rahguzar par hai naqsh-pai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.